Yeh Zindagi, Na Milega Doobara...

Agar zindagi sab ko yun hi hassati,
toh shayad assoonon ke namkiniya ko nahi jaante hum.

Ya phir agar zindagi sab ko yun hi rulati,
toh shayad hassi ki mithas ko nahi pehchante hum.

Aasmanon mein jab bhi kaale badal chahe hote hai,
toh unme se bhi nikal aata hai ek umeed, ujali subha ki.

Ya phir uss mod ki baat karein, jo acche ke liye rukh badal deti hai,
Aur le aati hai apne saat, nayi aashayein ki manzile

Shayad isliye bane hai hum, ke jiye hum,
haste, gaate aur kabhi kabar rote bhi.

Iss ehsaas ko kehte hai hum jeena.
Aur jeena hai khulke, Ab waqt hai humara..
Kyunki Yeh Zindagi, Na Milega Doobara
 





No comments:

Post a Comment

KESARI - FILM REVIEW

It was an impromptu decision to watch Kesari on opening day and I guess it was a good one. The Film which is based on the true story of on...

Popular Reads